hazrat-e-maulaa ’alii hai.n raazd-daar-e-fatima

Ameer Hamza Nizami
MORE BYAmeer Hamza Nizami
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت فاطمہ زہرا (جنت البقیع-مدینہ منورہ)
hazrat-e-maulaa ’alii hai.n raazd-daar-e-fatima
shabbr-o-shabbiir dono.n hai.n qaraar-e-faatima
allaah allaah diin-e-ahmad kii hifaazat ke liye
luT rahaa hai dasht me.n baaG-e-bahaar-e-faatima
fikr jaatii hai mirii suu-e-baqii-e’-paak KHud
jab se dekhaa hai nigaaho.n ne mazaar-e-faatima
be-ijaazat bulbul-e-sidra na aate un ke ghar
is qadar rab ne ba.Dhaayaa iftiKHaar-e-faatima
hai qiyaamat-KHez manzar karbalaa kii ret par
sar-ba-kaf maujuud hai.n sab jaa.n-nisaar-e-faatima
bandagii shab-bhar KHudaa kii ahsan-e-taqviim hai
qaabil-e-tahsiin hai har shaahkaar-e-faatima
hai tamannaa us kii aa.nkho.n ko 'nizaamii' chuum luu.n
jis ne dekhaa hai zahe-qismat dayaar-e-faatima

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 223)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.