ham hu.e sairaab 'ishq-e-mustafaa ke jaam se

is liye vaabastagii apnii hai KHaas-o-'aam se
dil me.n ’ishaq-e-mustafaa jis ke ho lab par zikr ho
aaKHirat me.n kaise vo zaakir na ho aaraam se
vo hamesha giit gaate hai.n jahaa.n me.n aap ke
yaa nabii hote hai.n jo bhii mustafiiz ikraam se
shaa.irii kaa zauq mere dil me.n paidaa ho gayaa
fikr ne parvaaz paa.ii aap ke in.aam se
aap kii furqat giraa.n dil ko guzartii hai huzuur
kis tarah bulbul judaa rah paa.e gul-andaam se
ham na gustaaKHii sahe.nge mustafaa ke naam par
jaan bhii de de.nge ham Darte nahii.n anjaam se
tum ne kyaa faaraa.n kii choTii se diyaa paiGaam-e-haq
qasr-e-baatil ab bhii larzaa.n hai tumhaar naam se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.