sikka-e-raa.ej jab se diin-e-mustafaa kaa ho gayaa

GalGala saarii KHudaa.ii me.n KHudaa kaa ho gayaa
jab se dil diivaana mahbuub-e-KHudaa kaa ho gayaa
mustafaa us ke hu.e vo mustafaa kaa ho gayaa
hashr me.n niiche lavaa-e-hamd ke paa.ii jagah
zill-e-rahmat saaya us zulf-e-rasaa kaa ho gayaa
iltijaa par ummat-e-'aasii kii jab aamiin kahii
bol-baalaa un Gariibo.n kii du'aa kaa ho gayaa
na.at me.n ham ne jo likhaa ek parcha bhii 'amiir'
mil ga.ii daulat vo nuskHa-e-miyaa kaa ho gayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.