yaa nabii hind me.n ham Thokare.n khaa.e.n kab tak

dekhiye aap madiine me.n bulaa.e.n kab tak
aa.nkhe.n pathraa ga.ii.n ab raah bahut dekh chuke
saKHtiyaa.n dard-e-judaa.ii kii uThaa.e.n kab tak
phir ke aate hai.n jo zaa.er hame.n karte hai.n KHajil
baat big.Dii hu.ii logo.n se banaa.e.n kab tak
saaf matl.a ho dikhaa.o hame.n ummiid kaa din
gahirii-gahirii shab-e-Gam kii ye ghaTaa.e.n kab tak
ashk-e-Gam ruk nahii.n saktaa hai kahaa.n tak roke.n
dard-e-dil chhup nahii.n saktaa hai chhupaa.e.n kab tak
nahii.n miltii hame.n duniyaa ke bakhe.Do.n se najaat
yaa nabii gird rahe.ngii ye balaa.e.n kab tak
kiijiye va.ada bulaane kaa ki ab taab nahii.n
kahiye badle.ngii muKHaalif ye havaa.e.n kab tak
chal ziyaarat ko bahaane nahii.n achchhe hai.n 'amiir'
jam.a kar dil ko pareshaan ye raa.e.n kab tak

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.