aa.nsuu mirii aa.nkho.n me.n nahii.n aa.e hu.e hai.n

dariyaa tirii rahmat ke ye lahraa.e hu.e hai.n
allaah rii hayaa hashr me.n allaah ke aage
ham sab ke gunaaho.n pe vo sharmaa.e hu.e hai.n
mai.n ne chaman-e-kHuld ke phuuluu.n ko bhii dekhaa
sab aage tire chehre ke murjhaa.e hu.e hai.n
bhaataa nahii.n ko.ii nazar aataa nahii.n ko.ii
dil me.n vahii aa.nkho.n me.n vahii chhaa.e hu.e hai.n
raushan hu.e dil par to rukHsaar-e-nabii se
ye zarre usii mehar ke chamkaa.e hu.e hai.n
shaaho.n se dabe.n kyaa jo gadaa hai.n tire dar ke
ye ai shaah-e-KHuubaa.n tirii shah paa.e hu.e hai.n
aa.e hai.n jo vo be-KHudii-e-shauq ko sun kar
is vaqt 'amiir' aap me.n ham aa.e hu.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.