dil me.n hai KHayaal-e-ruKH-e-nekuu-e-mohammad

allaah ke ghar me.n hai basii buu-e-mohammad
kyaa ra.ng-e-tasavvur hai ki har saa.ns se mil kar
aatii hai havaa-e-chaman-e-kuu-e-mohammad
le jaa.e ajal jaan kii parvaa nahii.n mujh ko
hai taar-e-rag-e-jaa.n mujhe har suu-e-mohammad
aa jaa.e nazar raah me.n gar naqsh-e-kaf-e-paa
aa.nkho.n se chaluu.n mai.n taraf-e-kuu-e-mohammad
tuulaa hai bahut jaa.nch ke arbaab-e-nazar ne
hai.n shams-o-qamar sa.ng-e-taraazuu-e-mohammad
dilbar hai dil-aaraam hai dil-daar hai vo dil
jis dil me.n hai yaad ruKH dil-juu-e-mohammad
siine se lagaa.uu.n mai.n 'amiir' aa.nkho.n me.n rakkhuu.n
hai.n phuul mujhe kHaar-o-kHas-e-kuu-e-mohammad

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.