halqe me.n rasuulo.n ke vo maah-e-madanii hai

kyaa chaa.nd kii tanviir sitaaro.n me.n chhanii hai
kah de mire 'iisaa se madiine me.n ye ko.ii
ab jaan pe biimaar-e-mohabbat ke banii hai
mahbuub ko be-dekhe hu.e luuT rahe hai.n
'ushshaaq me.n kyaa ra.ng-e-uvais-e-qaranii hai
ghar se kahii.n achchhaa hai madiine kaa musaafir
yaa.n sub.h-e-vatan shaam-e-Gariib-ul-vatanii hai
me'araaj me.n huuro.n ne jo dekhaa to ye bolii.n
kis nok palak kaa ye javaa.n madnii hai
ik 'umr se jaltaa hai magar jal nahii.n saktaa
kis sham' kaa parvaana uvais-e-qaranii hai
'ushshaaq se puuchhe na ga.e hashr me.n a'amaal
kyaa big.Dii hu.ii baat mohabbat se banii hai
yaad ahmad-e-muKHtaar kii hai kaa'ba-e-dil me.n
makke me.n 'ayaa.n jalva-e-maah-e-madanii hai
kis shauq se jaate hai.n madiine ke musaafir
mahbuub-e-vatan se kahii.n ye be-vatanii hai
kahtaa hai musaafir se ye har naKHl-e-madiina
aaraam zaraa le lo yahaa.n chhaa.nv ghanii hai
aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aanaa nahii.n mumkin
huuro.n se bhii ba.Dh kar tirii naazuk-badanii hai
allaah ke mahbuub se hai 'ishq kaa daa'va
bando.n kaa bhii kyaa hausla allaah-Ganii hai
aa.nkho.n se Tapaktaa hai mirii ra.ng-e-uvaisii
jo laKHt-e-jigar hai vo 'aqiiq-e-yamanii hai
mai.n us ke Gulaamo.n me.n huu.n jo sab kaa hai aaqaa
sardaar-e-rusul sayyad-e-makkii madnii hai
aa'daa ne jahaa.n maa.ngii amaa.n ruk ga.ii chal kar
shamshiir-e-husainii me.n bhii kHulq-e-hasanii hai
har dil me.n hai mahbuub-e-ilaahii kii tajallii
har aa.iine me.n ’aks-e-jamaal-e-madanii hai
maqtal hai chaman naa'sh pe huuro.n kaa hai majma'
kyaa ra.ng me.n Duubii mirii KHuunii.n kafnii hai
pahu.nchii hai.n kahaa.n aahe.n uvais-e-qaranii kii
baaGo.n me.n madiine ke havaa-e-yamaanii hai
kuchh mad.h pa.Dhuu.n rauza-e-pur-nuur pe chal kar
ye baat 'amiir' ab to mire dil me.n Thanii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.