Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHush the yuu.n as.haab ruu-e-mustafaa ko dekh kar

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    KHush the yuu.n as.haab ruu-e-mustafaa ko dekh kar

    mustafaa jis tarah anvaar-e-KHudaa ko dekh kar

    vaah kyaa rutba hai jitne hai.n jahaa.n me.n baadshaah

    uTh kha.De hote hai.n sab tere gadaa ko dekh kar

    aadmii kyaa sar jhukaate hai.n mah-o-mahr-o-falak

    aaj tak patthar par un ke naqsh-e-paa ko dekh kar

    aadmii bhejaa hai hazrat ne talab ke vaaste

    naza.a ke dam mai.n ye samjhuu.ngaa qazaa ko dekh kar

    laa-makaa.n me.n qurb-e-haq un ko milaa be-vaasta

    Gash hu.e muusaa tajallii-e-KHudaa ko dekh kar

    hai bajaa phir kar madiine se jo zaa.er kahte hai.n

    ham bhii aate ho.nge jannat kii fazaa ko dekh kar

    ahl-e-dii.n hai.n aashiq-e-shah un ko kyaa duniyaa se kaam

    dekhte hai.n chuGd ko kab ye humaa ko dekh kar

    hai mujhe KHaak-e-madiina chashma-e-aab-e-hayaat

    KHizr KHush ho.n chashma-e-aab-e-baqaa ko dekh kar

    hai jo aaqil jaantaa hai KHuub KHaaliq ko 'amiir'

    KHilqat-o-mehr-o-mah-o-arz-o-samaa ko dekh kar

    Source :
    • Book : Mahamid-e-Khatimun Nabiyyin (Pg. 56)
    • Author : Ameer Minayee
    • Publication : Munshi Nawalkishor, Lucknow (1930)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now