siirat-e-ushshaaq hai arbaab-e-suurat se alag

hai tariiqa un kaa haftaad-o-do-millat se alag
chashm-e-tar hai un kii kausar naKHl-e-tuubaa un kii aah
un kaa baaG-e-dil-kushaa hai baaG-e-jannat se alag
dil haram un kaa garebaa.n un kaa mehraab-e-haram
hai ye aa.iin-e-ibaadat har ibaadat se alag
maut un kii zindagii hai zindagii hai un kii maut
ra.nj-o-raahat un ke hai.n sab ra.nj-o-raahat se alag
dar-haqiiqat KHaas hai.n ye pairav-e-shar.a-e-rasuul
hai sharii.at un kii zaahir me.n sharii.at se alag
teG-e-Gairat se abhii rakh de.n sar apnaa kaaT kar
paa.nv pa.D jaaye agar raah-e-mohabbat se alag
kaah ho kar koh-e-Gam sar par uThaa lete hai.n ye
ye tahammul hai kahii.n insaa.n kii taaqat se alag
KHuun-e-dil mai hai to hai laKHt-e-dil biryaa.n kabaab
lazzate.n un kii hai.n duniyaa-bhar kii lazzat se alag
hai.n rujuu.a-e-qalb se ye is tarah vaasil-ba-haq
jis tarah ma.anaa nahii.n hote ibaarat se alag
aastii.n se un kii jeb-e-quds kaa paivand hai
daaman-e-maqsuud hai kab dast-e-himmat se alag
ye radiif apne liye mai.n ne kahii hai ai 'amiir'
haath mahshar me.n na ho daamaan-e-hazrat se alag

- Book : Mahamid-e-Khatimun Nabiyyin (Pg. 67)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Munshi Nawalkishor, Lucknow (1930)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.