mujhe kuchh KHauf isyaa.n kaa nahii.n hai
mujhe kuchh KHauf isyaa.n kaa nahii.n hai
ki hazrat saa shafii.a-ul-muznabii.n hai
mazaar-e-paak hai aa.nkho.n se nazdiik
ajab ye chashm-e-biinaa duurbii.n hai
zamii.n hai aasmaa.n bhii us ke aage
ajab bartar madiine kii zamii.n hai
hu.aa hai naqsh jab se naam-e-hazrat
miraa dil bhii sulaimaa.n kaa nagii.n hai
gunaaho.n se nahii.n mahshar me.n kuchh KHauf
ki haamii rahmatul-lil.aalamii.n hai
ba.Dii kahiye 'amiir' is me.n Gazal kyaa
zaraa sii bahr chhoTii sii zamii.n hai

- Book : Mahamid-e-Khatimun Nabiyyin (Pg. 89)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Munshi Nawalkishor, Lucknow (1930)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.