laaj merii rah jaa.e
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان) آواز : زاہد نازاں قوال۔
laaj merii rah jaa.e
ai hind ke vaalii
sun lo mere KHvaaja
aayaa hai savaalii
ai mustafaa ke pyaare
karraar ke dulaare
be-kas ko aasraa do
big.Dii mirii banaa do
rakh lo bharam KHudaa raa
kar do karam KHudaa raa
ma.ngtaa huu.n mai.n tumhaaraa
de do mujhe sahaaraa
aataa hai tum ko KHvaaja
dukhiyo.n kii laaj rakhnaa
lillaah mere sar pe
ulfat kaa taaj rakhnaa
tum hind ke ho raaja
ai mere pyaare KHvaaja
mai.n tum ko maantaa huu.n
mai.n tum ko jaantaa huu.n
ye hai yaqiin mujh ko
ye hai KHayaal meraa
puuraa tumhaar dar pe
hogaa savaal meraa
aayaa huu.n soch kar ye
ai be-kaso.n ke vaalii
darbaar se tumhaar
jaa.uu.ngaa mai.n na KHaalii
ai baadshaah-e-sanjar
ai vaaris-e-payambar
ai rahbaro.n ke rahbar
ai nuur-e-chashm-e-haidar
tum aal-e-mustafaa ho
tum nuur-e-panjtan ho
chamkaa hijaaz me.n jo
us chaa.nd kii kiran ho
bando.n ko apne rab se
tum ne milaa diyaa hai
dukhiyo.n ko rahmato.n kaa
sadqa dilaa diyaa hai
kahte hai.n ye bhikaarii
dahliiz par tumhaarii
tum se jabhii to saa.el
din raat maa.ngte hai.n
phailaa ke apnaa daaman
KHairaat maa.ngte hai.n
har dam mirii zabaa.n par
KHvaaja yahii sadaa hai
bas itnii aarzuu hai
bas itnii iltijaa hai
sar pe mire hamesha
ulfat kaa haath rakhnaa
zaahid pe rahm karnaa
'anvar' kii baat rakhnaa
laaj merii rah jaa.e
ai hind ke vaalii
sun lo mere KHvaaja
aayaa hai savaalii
ai mustafaa ke pyaare
karraar ke dulaare
be-kas ko aasraa do
big.Dii mirii banaa do
rakh lo bharam KHudaa raa
kar do karam KHudaa raa
ma.ngtaa huu.n mai.n tumhaaraa
de do mujhe sahaaraa
aataa hai tum ko KHvaaja
dukhiyo.n kii laaj rakhnaa
lillaah mere sar pe
ulfat kaa taaj rakhnaa
tum hind ke ho raaja
ai mere pyaare KHvaaja
mai.n tum ko maantaa huu.n
mai.n tum ko jaantaa huu.n
ye hai yaqiin mujh ko
ye hai KHayaal meraa
puuraa tumhaar dar pe
hogaa savaal meraa
aayaa huu.n soch kar ye
ai be-kaso.n ke vaalii
darbaar se tumhaar
jaa.uu.ngaa mai.n na KHaalii
ai baadshaah-e-sanjar
ai vaaris-e-payambar
ai rahbaro.n ke rahbar
ai nuur-e-chashm-e-haidar
tum aal-e-mustafaa ho
tum nuur-e-panjtan ho
chamkaa hijaaz me.n jo
us chaa.nd kii kiran ho
bando.n ko apne rab se
tum ne milaa diyaa hai
dukhiyo.n ko rahmato.n kaa
sadqa dilaa diyaa hai
kahte hai.n ye bhikaarii
dahliiz par tumhaarii
tum se jabhii to saa.el
din raat maa.ngte hai.n
phailaa ke apnaa daaman
KHairaat maa.ngte hai.n
har dam mirii zabaa.n par
KHvaaja yahii sadaa hai
bas itnii aarzuu hai
bas itnii iltijaa hai
sar pe mire hamesha
ulfat kaa haath rakhnaa
zaahid pe rahm karnaa
'anvar' kii baat rakhnaa
- Book : Zahid Nazan Qawwal, Part 1 (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.