ai KHushaa taabaanii-e-ruu-e-mu'iinuddiin hasan
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
ai KHushaa taabaanii-e-ruu-e-mu'iinuddiin hasan
jis se phuuTii hind me.n islaam kii pahlii karin
husn-e-akHlaaq-o-nazar se dil musaKHKHar kar liye
kar diyaa viiraan siino.n ko mohabbat kaa chaman
dekh kar andaaz-e-tabliiG-e-mubaarak kaa kamaal
ban ga.e shaiKH-e-haram ho kar musalmaa.n barahman
qul huvallaahu ahad ke naGma-e-tauhiid se
aa ga.ii KHud but-parasto.n me.n adaa-e-but-shikan
vaaqi.a hai kar ke laa-ikraaha fiddii.n par 'amal
nau'-e-insaa.n ko sikhaa.ii raah-e-rabt-e-jaan-o-tan
allaah allaah faqr kii me'araaj-e-a'alaa kaa maqaam
sar KHamiida aaj tak aate hai.n shaahaan-e-zaman
mujh ko bhii anvar hai un kii nisbat-e-kaamil pe naaz
ruuh ne baKHshii hai jin kii mujh ko taasiir-e-suKHan
zill-e-'abbaas aaj hai.n un ke muqallid bil-yaqii.n
thaa be-hamdillaah jo kuchh mere KHvaaja kaa mission

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.