Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na KHanjar paas hai un ke na vo shamshiir rakhte hai.n

Anwarullah Farooqi

MORE BYAnwarullah Farooqi

    na KHanjar paas hai un ke na vo shamshiir rakhte hai.n

    magar abruu kii jumbish me.n 'ajab taasiir rakhte hai.n

    nahii.n rahtaa hai dil qabze me.n un kii ham-kalaamii se

    nahii.n ma.aluum baato.n me.n vo kaisaa tasKHiir rakhte hai.n

    jilau me.n 'aashiqo.n ke pesh-o-pas la.Dko.n kaa lashkar hai

    agar majnuu.n bhii kahlaa.e.n to ye tauqiir rakhte hai.n

    kamaa.n ke saamne chille kaa jhuknaa daam-e-maqsad hai

    jvaanaan-e-sa'aadat-mand qadr-e-piir rakhte hai.n

    tajallii 'ishq kii jin ke dilo.n par jalva-afgan hai

    bajaa.e mardumak vo yaar kii tasviir rakhte hai.n

    qusuur apnaa hai varna saakinaan-e-shahar-e-kHaamoshaa.n

    zabaan-e-haal par har qism kii taqriir rakhte hai.n

    muraad aur naa-muraadii 'aashiqo.n ke paas yaksaa.n hai

    vo kab ta.ajiil kaa shauq aur Gam-e-taaKHiir rakhte hai.n

    sar-e-tasliim jin kaa taaq-e-abruu me.n hai KHam 'anvar'

    sar-e-sajda ko vo Garq-e-nam-e-tashviir rakhte hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now