haadii-e-raah-e-hudaa sayyad-o-sarvar KHvaaja

hind me.n ko.ii nahii.n aap se ba.Dh kar KHvaaja
aap ke nuur se aa.nKHe.n ho.n munavvar KHvaaja
aap kii yaad rahe dil me.n baraabar KHvaaja
ko.ii suntaa nahii.n haal-e-dil-e-muztar KHvaaja
aaj hai.n badle hu.e vaqt ke tevar KHvaaja
maal-o-zar jaah-o-hasham kii nahii.n haajat ham ko
chaahiye chashm-e-'ataa suu-e-gadaagar KHvaaja
aap kaa haath rahe ahl-e-suKHan ke sar par
saayaa-e-fazl-e-kHudaa aap ke sar par KHvaaja
ahl-e-iimaan pareshaan nazar aate hai.n
jaanib-e-diin hai.n ilhaad ke patthar KHvaaja
zindagii ham pe giraa.n-baar hu.ii jaatii hai
kyaa kahe.n aap se ruudaad sitamgar KHvaaja
phuul lagte hai.n dahakte hu.e sho.alo.n kii tarah
dost milte hai.n chhupaa.e hu.e KHanjar KHvaaja
aap kii mad.h-saraa.ii se Garaz hai us ko
kyaa kare ’arz-e-hunar auj-e-sukHan-var KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.