’arsh-e-’aziim par ki tah-e-aasmaa.n na thaa

Maharaja Kishan Prasad
MORE BYMaharaja Kishan Prasad
'arsh-e-'aziim par ki tah-e-aasmaa.n na thaa
yaa-rab tire habiib kaa jalva kahāñ na thaa
me'araaj me.n huzuur hue jabki baaryaab
bus aap the akele ko.ii aur vaa.n na thaa
ahmad ke dar pe is liye mai.n jab.ha saa rahaa
sajde ke laa.eq aur ko.ii aastaa.n na thaa
me'araaj me.n huzuur jo mad'uu KHudaa ke the
KHalvat thii ko.ii aur vaa.n mehmaa.n na thaa
hazrat ke dam qadam se ye raunaq'' ba.Dhii hai sab
islaam kaa jahaan me.n pahle nishaa.n na thaa

- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.