nabii hamaaraa KHudaa kaa piyaaraa rasuul bhii hai kariim bhii hai

Asghar Nizami
MORE BYAsghar Nizami
nabii hamaaraa KHudaa kaa piyaaraa rasuul bhii hai kariim bhii hai
nahii.n hai mahshar kaa KHauf aslan hamaaraa maulaa rahiim bhii hai
du.ii kaa parda uThaa ke dekho ahad me.n ahmad chhipaa hu.aa hai
na vo judaa hai na ye alag hai ahad me.n poshiida miim bhii hai
KHudii ke putle KHudaa na ban tuu vagarna rabb-e-jaliil meraa
jalaa ke kar degaa KHaak tujh ko ki us ke bas me.n jahiim bhii hai
vahii 'arab me.n vahii 'ajam me.n vahii thaa dair-o-haram ke andar
usii ko 'iisaa pukaartaa hai vahii muKHaatib kaliim bhii hai
sabaa jo yasrib nagar me.n jaa.e to kamlii vaale se itnaa kahnaa
bulaa lo 'asGar' ko paas apne Gariib bhii hai yatiim bhii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.