ghar me.n allaah kii jo rahmat hai
ghar me.n allaah kii jo rahmat hai
zikr salle-alaa kii barakat hai
kitnii aasaan raah sant hai
ko.ii zahmat na ko.ii diqqat hai
jis se allaah ko mohabbat hai
mere sarkaar kii vo ummat hai
naam-e-naamii me.n aisii azmat hai
lene vaale kii dil me.n izzat hai
yuu.n to asnaaf hai.n ka.ii lekin
na.at go.ii KHudaa kii ne.amat hai
duur karne par ik musiibat ko
zikr-e-servar tirii zaruurat hai
mid.hat-e-mustafaa karo 'asfii'
qiimtii aaKHirat kii daulat hai
ghar me.n allaah kii jo rahmat hai
zikr salle-alaa kii barakat hai
kitnii aasaan raah sant hai
ko.ii zahmat na ko.ii diqqat hai
jis se allaah ko mohabbat hai
mere sarkaar kii vo ummat hai
naam-e-naamii me.n aisii azmat hai
lene vaale kii dil me.n izzat hai
yuu.n to asnaaf hai.n ka.ii lekin
na.at go.ii KHudaa kii ne.amat hai
duur karne par ik musiibat ko
zikr-e-servar tirii zaruurat hai
mid.hat-e-mustafaa karo 'asfii'
qiimtii aaKHirat kii daulat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.