ujaalo.n kii ziyaa hai aur mai.n huu.n
ujaalo.n kii ziyaa hai aur mai.n huu.n
nabii kaa naqsh-e-paa hai aur mai.n huu.n
tasavvur kii fazaa.e.n hai.n mo.attar
madiine kii havaa hai aur mai.n huu.n
zabaa.n par varad hai salle-alaa kaa
daruudo.n kaa maza hai aur mai.n huu.n
hai sar pe kaalii-kamlii saaya-figan
har ik mausam haraa hai aur mai.n huu.n
na aa.e aur ko.ii darmiyaa.n ab
nabii hai aur KHudaa hai aur mai.n huu.n
musallaa bhiigtaa hai aa.nsuo.n se
ki ho.nTo.n par du.aa hai aur mai.n huu.n
milii taufiiq madh-e-mustafaa kii
'ataa-e-kibriyaa hai aur mai.n huu.n
isii haalat me.n rahne do mujhe ab
KHayaal-e-mustafaa hai aur mai.n huu.n
nabii ne kah diyaa meraa hai 'akbar'
KHushii kii intihaa hai aur mai.n huu.n
ujaalo.n kii ziyaa hai aur mai.n huu.n
nabii kaa naqsh-e-paa hai aur mai.n huu.n
tasavvur kii fazaa.e.n hai.n mo.attar
madiine kii havaa hai aur mai.n huu.n
zabaa.n par varad hai salle-alaa kaa
daruudo.n kaa maza hai aur mai.n huu.n
hai sar pe kaalii-kamlii saaya-figan
har ik mausam haraa hai aur mai.n huu.n
na aa.e aur ko.ii darmiyaa.n ab
nabii hai aur KHudaa hai aur mai.n huu.n
musallaa bhiigtaa hai aa.nsuo.n se
ki ho.nTo.n par du.aa hai aur mai.n huu.n
milii taufiiq madh-e-mustafaa kii
'ataa-e-kibriyaa hai aur mai.n huu.n
isii haalat me.n rahne do mujhe ab
KHayaal-e-mustafaa hai aur mai.n huu.n
nabii ne kah diyaa meraa hai 'akbar'
KHushii kii intihaa hai aur mai.n huu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.