Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

siirat-e-servar-e-’aalam kaa jo paikar hotaa

Asif Ahmad Warsi

Gaus hotaa vo zamii.n pe yaa qalandar hotaa

aap ke dar pe KHamiida jo miraa sar hotaa

auj pe us gha.Dii apnaa bhii muqaddar hotaa

KHvaab me.n sarvar-e-dii.n kii jo ziyaarat hotii

phir to mai.n zill-e-ilaahii ke baraabar hotaa

rahtii sarkaar-e-do-’aalam kii mohabbat dil me.n

KHauf mahshar na jahannam kaa mujhe Dar hotaa

us ke qadmo.n me.n chalii aatii simaT kar manzil

raasta jis ko mohammad kaa muyassar hotaa

un ke hii nuur se aadam kii hu.ii tauba qubuul

varna kab harf-e-du'aa un kaa munavvar hotaa

lutf miltaa mujhe jiine me.n KHushii marne me.n

kaash 'aasif' jo madiine me.n kahii.n ghar hotaa

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now