Font by Mehr Nastaliq Web

kyaa vaqaar-e-'azmat-o-naam-o-nasab zainab me.n hai

Aslam Majid

Interesting Fact

منقبت درشان حضرت سیدہ زینب

kyaa vaqaar-e-'azmat-o-naam-o-nasab zainab me.n hai

sar jhukaa kar tan ke chalne kii talab zainab me.n hai

sayyado.n kii sayyada ke sayyadii tevar to dekh

KHaandaan-e-haashmii kaa har laqab zainab me.n hai

sar me.n tuufaan-e-shahaadat dil me.n mamtaa kii lahar

kashmakash kaa ik samandar tishna-lab zainab me.n hai

pyaas kii shiddat me.n bhii suukhe nahii.n zainab ke ashk

das kii din kii be-qaraarii das kii shab zainab me.n hai

beTe bhaa.ii aur bhatiijo.n ko fidaa karne kaa dam

jazba-e-iisaar-o-qurbaanii 'ajab zainab me.n hai

mustafaa haidar KHadiija faatima shabbar husain

kuchh kaa jazba kuchh kii hikmat kuchh kii chhab zainab me.n hai

panja-e-baatil se diin-e-haq bachaane kii ta.Dap

jaisii 'maajid' faatima me.n thii vo ab zainab me.n hai

Source :
  • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 154)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now