asraar-e-haqiiqat ho-ho kar asraar-e-mohammad aate hai.n

Zaheen Shah Taji
MORE BYZaheen Shah Taji
Interesting Fact
مشاعرہ ’’بزمِ ضیا‘‘ جٹ لینڈ لائنز 22- 2 کراچی۔ مصرعۂ طرح ۔ جام مئے کوثر ہاتھ میں ہے سرشار محمد آتے ہیں
asraar-e-haqiiqat ho-ho kar asraar-e-mohammad aate hai.n
anvaar-e-ilaahii ban-ban kar anvaar-e-mohammad aate hai.n
kab sahv me.n aane ko mahv diidaar-e-mohammad aate hai.n
kaif-e-abadii me.n mustaGraq sarshaar-e-mohammad aate hai.n
allaah ke diivaane ban kar hushiyaar-e-mohammad aate hai.n
mastaan-e-KHudaa kii duniyaa me.n nazar sarshaar-e-mohammad aate hai.n
diidaar-e-ilaahii jannat me.n mau'uud hai lekin jannat me.n
aate hai.n vahii jo mushtaaq-e-diidaar-e-mohammad aate hai.n
har bol nabii kaa apnaayaa har bol ko apnaa qaul kiyaa
bhaate hai.n KHudaa ko andaaz guftaar-e-mohammad aate hai.n
allaah kii saarii taariife.n dar-parda na.at-e-mohammad hai.n
al-hamd ke aa.iine me.n nazar anvaar-e-mohammad aate hai.n
jannat ke dar-o-diivaar magar aa.iina-daar-e-madiina hai.n
rah-rah ke mirii aa.nkho.n me.n dar-o-diivaar-e-mohammad aate hai.n
ye kuu-e-nabii ke diivaane kHushbuu-e-jannat pahchaane
gulzaar-e-jinaa.n kii dhun me.n suu-e-gulzaar-e-mohammad aate hai.n
ik tum hii nahii.n biimaar 'zahiin' is baargah-e-mahbuubii me.n
achchhe achchhe hone ke liye biimaar-e-mohammad aate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.