ilaahii jis dam labo.n pe dam ho zabaa.n ho sarf-e-sanaa-e-vaaris

Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
ilaahii jis dam labo.n pe dam ho zabaa.n ho sarf-e-sanaa-e-vaaris
ki dil me.n shauq-e-visaal-e-vaaris ho aa.nkh mahv-e-liqaa-e-vaaris
jahaa.n me.n apnii nazar se guzre hazaaro.n KHush-ruu hasiin laakho.n
magar na dekhii ye shaan-o-kHuubii judaa hai sab se adaa-e-vaaris
na puuchh vaa.iz hamaaraa mashrab nahii.n hai dair-o-haram se matlab
zamaana guzraa jo kar ke baiThe hai.n diin-o-iimaa.n fidaa-e-vaaris
kahaa.n kaa parda hijaab kaisaa KHudaa bhii puuchhe to saaf kah duu.n
hamaarii millat hai ishq-e-vaaris hamaaraa iimaa.n vilaa-e-vaaris
jo sab kii mushkil me.n kaam aa.e kare Gariibo.n kii dast-giirii
lagaa.e be.Daa jo paar 'aughaT' nahii.n hai ko.ii sivaa-e-vaaris

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 70)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.