Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aulaad hai.n yah KHaas shahe mashriQain kii

Farogh Warsi

MORE BYFarogh Warsi

    aulaad hai.n yah KHaas shahe mashriQain kii

    chhabiisvii.n pusht janaab-e-husain kii

    putlii yahii hai faatima ke nuur-e-ain kii

    mohr-e-nagii.n hai faateh-e-badr-o-hunain kii

    ye jauhar-o-KHulaasa hai dono.n-jahaan kaa

    banda nazar pa.Daa hai KHudaa kii shaan kaa

    hai tuu hii vaaris-e-alii-o-vaaris-e-nabii

    dil hai tiraa KHaziina-e-israar-e-maanavii

    tere badan pe Thiik qabaa faqr kii hu.ii

    aadat kii ibtidaa hii se tark-e-libaas kii

    dastaar-o-paa.ejaama na zeb-e-badan kiyaa

    ehraam ko pasand pai sar-e-tan kiyaa

    la.Dkaa yahii hai shaah-e-shahidaa.n kaa baa-KHalf

    pur-nuur silk shaah-e-najaf kaa durr-e-najaf

    durj-e-rasuul kaa hai yahii gauhar-e-sadaf

    allaah ne diyaa hai har-ik baat kaa sharaf

    sayyad bhii hai faqiir bhii hai aur valii bhii hai

    har tarah jaa.n-nashiin-e-nabii-o-alii bhii hai

    qaum aisii laa-javaab ki duniyaa me.n aaftaab

    duniyaa me.n aaftaab to uqbaa me.n maahtaab

    uqbaa me.n maahtaab to kausar pe josh-e-aab

    kausar pe josh-e-aab se pur saaqii-e-sharaab

    saaqii sharaab-e-kausar-o-tasniim kaa ye hai

    vaaris alii-o-ahmad-e-be-miim kaa ye hai

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 152)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now