shaa.ir-e-mahbuub-e-daavar hazrat-e-ansaar hai.n
Interesting Fact
منقبت درشان شیخ النعمت حضرت شاہ انصار حسین رحمانی (کراچی۔پاکستان)
shaa.ir-e-mahbuub-e-daavar hazrat-e-ansaar hai.n
chaa.nd kii tarah munavvar hazrat-e-ansaar hai.n
hazrat-e-sayyad musharraf kii milii sajjaadagi
baKHt aise bhī hazrat-e-ansaar hai.n
mustafaa kii aal par sau jaan se qurbaan hai.n
aashiq-e-shabbiir-o-shabbar hazrat-e-ansaar hai.n
shaa.irii me.n un kaa ham-sar aur mumassil kaun hai
bil-yaqii.n yaktaa suKHnavar hazrat-e-ansaar hai.n
zuud go.ii aap kii pahchaan bhii hai shaan bhii
miir-o-Gaalib kii Dagar par hazrat-e-ansaar hai.n
suurat-o-siirat me.n bhii hai.n be-naziir-o-be-misaal
karbalaa vaalo.n ke dilbar hazrat-e-ansaar hai.n
har muriid-e-baa-safaa ke lab pe hai bas ye sadaa
mere murshid mere rahbar hazrat-e-ansaar hai.n
aap ke daulat-kade se sab ne paa.ii hai muraad
baa.nTne vaale tava.ngar hazrat-e-ansaar hai.n
ye aziizuddiin KHaake kah rahaa hai barmalaa
mard-e-haq mard-e-qalandar hazrat-e-ansaar hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.