Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

'ayaa.n hai.n ki yaa rab nihaa.n hai.n mohammad

Azizuddin Rizwan Qadri

'ayaa.n hai.n ki yaa rab nihaa.n hai.n mohammad

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    'ayaa.n hai.n ki yaa rab nihaa.n hai.n mohammad

    ye haq hai.n yaa haq kaa nishaa.n hai.n mohammad

    abhii sidq dil se mai.n iimaan laa.uu.n

    hame.n bhii bataa do kahaa.n hai.n mohammad

    tah-e-dil se tan-man nichhaavar karuu.ngaa

    ko.ii itnaa kah de vahaa.n hai.n mohammad

    kisii be-nishaa.n kaa nishaa.n le kar aa.e

    ki ik be-nishaa.n kaa nishaa.n hai.n mohammad

    dil-o-nafs jaa.n ruuh sab chhaan Daalaa

    kahaa.n par KHudaa hai kahaa.n hai.n mohammad

    kahaa.n un kaa saaya kahaa.n un kaa saanii

    samajh lo ye nukta yahaa.n hai.n mohammad

    zaraa un kii shaan-e-haqiiqat to dekho

    makii.n har bashar hai makaa.n hai.n mohammad

    zaraa puuchho ‘rizvaa.n’ se sab kuchh kahe.nge

    vahii.n par hai.n ‘rizvaa.n’ jahaa.n hai.n mohammad

    Source :
    • Book : Al-kabeer (Pg. 2)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now