Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHudaa be-shakl thaa lenii pa.Dii suurat mohammad kii

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    KHudaa be-shakl thaa lenii pa.Dii suurat mohammad kii

    jo qudrat thii KHudaa kii ban ga.ii qudrat mohammad kii

    zamii.n se aasmaa.n tak aasmaa.n se laa-makaa.n tak hai

    kahii.n charche mohammad ke kahii.n shohrat mohammad kii

    haqiiqat aayat laulaak kii samjhe.n to kyaa samjhe.n

    KHudaa hii jaantaa hai dosto 'izzat mohammad kii

    tasavvur me.n nazar dil me.n hai.n ik nuur ke jalve

    mohammad kaa karam haasil hu.ii qurbat mohammad kii

    kalaam-ul-laah hai qur.aan lekin meraa iimaa.n hai

    qur.aan-e-paak kii har ek aayat hai mohammad kii

    mohammad ke hii jalvo.n se sajaa hai gulshan-e-'aalam

    samajh sakte nahii.n andhe kabhii 'azmat mohammad kii

    zabaan ruuh ko chaskaa kuchh aisaa lag gayaa 'rizvaan'

    sanaa kartii hii rahtii hai sadaa hazrat mohammad kii

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now