justujuu KHudaa kii thii mil gayaa madiine me.n

Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
justujuu KHudaa kii thii mil gayaa madiine me.n
kaa'ba me.n mohammad hai.n aur KHudaa madiine me.n
ai KHudaa ke matavaalo kaa'ba me.n KHudaa kab hai
asal me.n KHudaa aa kar chhup gayaa madiine me.n
hosh-o-'aql ke andhe 'umr-bhar na samjhe.nge
jalve hai.n KHudaa.ii ke jaa-ba-jaa madiine me.n
nuur-e-haq taa'laa hii nuur-e-mustafaa.ii hai
guu.njtii hii rahtii hai ye sadaa madiine me.n
'arsh ke farishto.n kii farsh par nigaahe.n hai.n
kyuu.n ke arsh vaalaa hii aa basaa madiine me.n
aa.iye bataa duu.n mai.n aa.iina hai nisbat kaa
KHatm jaa ke hotaa hai silsila madiine me.n
apnii zindagaanii kaa muKHtasar ye KHaaka hai
ibtidaa hai kaa'ba se intihaa madiine me.n
kiijiye du'aa 'rizvaan' apnaa hai yaqiin rizvaa.n
hai sabhii du'aa.on kaa mudda'aa madiine me.n

- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.