Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

diid bin allaah mohammad se mohabbat kaisii

Azizuddin Rizwan Qadri

diid bin allaah mohammad se mohabbat kaisii

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    diid bin allaah mohammad se mohabbat kaisii

    mere murshid bataa dono.n kii hai suurat kaisii

    aaj-kal rind bhii kuchh aisii hii tashviish me.n hai

    ’abd-o-rab kii ho bhalaa ek hii suurat kaisii

    garche mukHtaar-e-do-'aalam thaa kHudaa-e-vaahid

    pa.D ga.ii us ko mohammad kii zaruurat kaisii

    nuur kahte hai.n kise aur ziyaa kyaa maa'nii

    Gaur kar nuur-o-ziyaa kii hai haqiiqat kaisii

    aag lene ko ga.e aa.e payambar ban kar

    KHaas rindo.n kii badal jaatii hai haalat kaisii

    vo hai nisbat jo kare murda dilo.n ko zinda

    murda-dil zinda na ho gar to vo nisbat kaisii

    maa'nii laa’nat ke bahut KHuub hai.n shaayad 'rizvaan'

    dekhiye hotii hai marduud kii shohrat kaisii

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now