Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai kHaaliq-o-maalik kaun-o-makaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

Azmat Hussain Khan

MORE BYAzmat Hussain Khan

    ai kHaaliq-o-maalik kaun-o-makaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    tirii mad.h karuu.n kis tarah bayaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    teraa nuur hai raunaq-e-har-do-jahaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    har shai me.n nihaa.n har shai se 'ayaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    mai.n tere karam ke balihaarii mai.n terii 'inaayat ke qurbaa.n

    dil ko nahii.n fikr suud-o-ziyaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    ik pal me.n navaazish hotii hai dil se ko.ii teraa naam to le

    har mushkil hotii hai aasaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    duniyaa bhii usii kaa partav hai 'uqbaa bhii usii kaa jalva hai

    aabaad hai.n mere dono.n jahaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    'isyaa.n ke ghor a.ndhero.n me.n 'maikash' kii najaat kaa zaamin hai

    har samt hai jalva-e-be-paayaa.n sub.haan-allaah sub.haan-allaah

    Source :
    • Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 10)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now