bahut kuchh ham ne dekhaa dekhne ko
bahut kuchh ham ne dekhaa dekhne ko
rahaa duniyaa me.n ab kyaa dekhne ko
mai.n KHud ki qad-e-aadam aa.iina huu.n
teraa apnaa saraapaa dekhne ko
kahaa.n saahil pe maujo.n kaa tabassum
unhe.n aataa hai dariyaa dekhne ko
dam-e-aakHir karuu.ngaa raaz afshaa.n
mujhe aap aa.e.n tanhaa dekhne ko
'nasiir' un kii galii me.n kyuu.n ga.e the
KHudii apnaa tamaasha dekhne ko
bahut kuchh ham ne dekhaa dekhne ko
rahaa duniyaa me.n ab kyaa dekhne ko
mai.n KHud ki qad-e-aadam aa.iina huu.n
teraa apnaa saraapaa dekhne ko
kahaa.n saahil pe maujo.n kaa tabassum
unhe.n aataa hai dariyaa dekhne ko
dam-e-aakHir karuu.ngaa raaz afshaa.n
mujhe aap aa.e.n tanhaa dekhne ko
'nasiir' un kii galii me.n kyuu.n ga.e the
KHudii apnaa tamaasha dekhne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.