Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ba.ad az KHudaa buzurg-o-mo'azzam tumhii.n to ho

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ba.ad az KHudaa buzurg-o-mo'azzam tumhii.n to ho

    haqqaa ki baadshaah-e-do-'aalam tumhii.n to ho

    har shaKHs par karam hai har ik shaKHs par 'ataa

    dushman bhii jaante hai.n mukarram tumhii.n to ho

    sab ko bataa.e tum ne hii asraar-e-zindagii

    kaun-o-makaa.n ke haadii-e-'aazam tumhii.n to ho

    vo kaun saa hai raaz jo tum par ayaa.n nahii.n

    raaz-e-uluuhiyat ke bhii mahram tumhii.n to ho

    tum saa na ho sakaa hai na hogaa ko.ii bashar

    fakHr-e-jahaan-o-naazish-e-aadam tumhii.n to ho

    maanaa ki ban ke aa.e ho tum KHatm-e-mursalii.n

    shaahid hai rabb-e-ka.aba muqaddam tumhii.n to ho

    'bahzaad'-e-mubtalaa pe bhii ho ik nigaah-e-lutf

    rahbar KHizr ke nuuh ke hamdam tumhii.n to ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now