maulaa-e-kul ho KHatm-e-payambar tumhii.n to ho
haqqaa ki do-jahaa.n ke servar tumhii.n to ho
jis ne bataayaa haq ko tumhaarii hii zaat hai
jis ne bataa.ii raah vo rahbar tumhii.n to ho
tum se karuu.n na arz to kis se ho iltijaa
meraa nasiib meraa muqaddar tumhii.n to ho
tum ko hii tak rahii hai har ik chashm-e-aarzuu
mahbuub-e-KHaas hazrat-e-daavar tumhe.n to ho
tum se hai.n aasmaan-o-zamii.n kii ye ziinate.n
maah-e-tamaam-o-mehr-e-munavvar tumhii.n to ho
tum se bataa.o chashm-e-kHataa-kaar kyaa kahe
be-kas navaaz-o-shaafi-e’-mahshar tumhii.n to ho
'bahzaad' mubtalaa ko dikhaa do dayaar-e-paak
'bahzaad'-e-mubtalaa ke to servar tumhii.n to ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.