dahr ke haadii shaah-e-hudaa maalik-e-kausar salli-'ala
vaj.h banaa.e il-lallaah KHatm-e-payambar salli-'ala
aap se ba.Dh kar ko.ii nahii.n aap se behtar ko.ii nahii.n
sab se hai.n afzal aur bartar sab se hai.n behtar salli-'ala
mazhar-e-zaat-e-rabb-e-'olaa markaz-e-chashm-o-fikr-o-rasaa
pusht-panaah-e-har-dosraa shaafe-e’-mahshar salli-'ala
aap kii hai har suu tanviir kyaa qamar kyaa mehr-e-muniir
aap kii hai taabaanii se dahr-e-munavvar salli-'ala
bat.haa kii hai hasrat 'bahzaad' rahtaa huu.n har dam naashaad
rahtaa hai aksar lab pe daruud kahtaa huu.n aksar salli-'ala

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.