KHvaaja-e-dosraa mohammad hai.n
sab ke mushkil-kushaa mohammad hai.n
haq ko dekhaa unhe.n agar dekhaa
haq ye hai haq-numaa mohammad hai.n
fahm se hai buland un kii zaat
ye na puuchho ki kyaa mohammad hai.n
ism-e-aazam se un kaa ism-e-shariif
har maraz kii davaa mohammad hai.n
sochne vaale kyaa KHabar tujh ko
kab KHudaa se judaa mohammad hai.n
un pe sadqe na kyuu.n ho chashm-e-KHayaal
markaz-e-auliyaa mohammad hai.n
KHaana-e-dil me.n mere ai 'bahzaad'
hazrat-e-mustafaa mohammad hai.n
KHvaaja-e-dosraa mohammad hai.n
sab ke mushkil-kushaa mohammad hai.n
haq ko dekhaa unhe.n agar dekhaa
haq ye hai haq-numaa mohammad hai.n
fahm se hai buland un kii zaat
ye na puuchho ki kyaa mohammad hai.n
ism-e-aazam se un kaa ism-e-shariif
har maraz kii davaa mohammad hai.n
sochne vaale kyaa KHabar tujh ko
kab KHudaa se judaa mohammad hai.n
un pe sadqe na kyuu.n ho chashm-e-KHayaal
markaz-e-auliyaa mohammad hai.n
KHaana-e-dil me.n mere ai 'bahzaad'
hazrat-e-mustafaa mohammad hai.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.