ban ke aayaa huu.n savaalii tum ho dukhiyo.n ke vaalii

Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
ban ke aayaa huu.n savaalii tum ho dukhiyo.n ke vaalii
bhar do shaah-e-madiina merii jholii hai KHaalii
ye lutf ye tumhaaraa karam be-misaal hai
ik-ik gunaahgaar kaa tum ko KHayaal hai
ho mere haal par bhii nigaah-e-karam navaaz
sarkaar ik nigaah-e-karam kaa savaal hai

sarkaar mujhe dedo jo aa.e tabii'at me.n
ai maz.har-e-anvaar-e-haq
ai muztar-e-asraar-e-haq
ai sayyad-o-sardaar-e-maa
ban ke aayaa huu.n savaalii
mujh se ruuThii hai duniyaa hai muKHaalif zamaana
meraa ko.ii nahii.n hai sun lo Gam kaa fasaana
tere sivaa ai yaa mohammad meraa ko.ii nahii.n hai
be-sahaaraa huu.n zamaane me.n sahaaraa diijiye
bahr-e-Gam me.n merii kashtii ko kinaaraa diijiye
aap hii kaa aasraa hai yaa mohammad mustafaa
apnii rahmat kaa sahaaraa ab KHudaa-raa diijiye
tere sivaa yaa mohammad meraa ko.ii nahii.n hai
dar-ba-dar phirtaa huu.n mai.n barbaad hai ab zindagii
Gam hii Gam hai merii qismat me.n nahii.n ko.ii KHushii
ko.ii monis hai na hamdam haal-e-Gam kis se kahuu.n
hai tumhii pe naaz mujh ko sun lo merii yaa-nabii

ko.ii duniyaa me.n nahii.n mujh be-kas-o-laa-chaar kaa
jaa.uu.n to jaa.uu.n kahaa.n sab ne mujhe Thukraa diyaa
ab tumhaaraa aasraa hai bas tumhaaraa aasraa
laaj rakh lo yaa mohammad hai merii iltijaa
aa.De aatii hai terii zaat har ik dukhiyaa ko
kha.Daa huu.n der se tere dar pe mujhe bhiik do KHudaaraa
hai ye laaj bhii tumhaarii aur faqiir bhii tumhaaraa

mere sarkaar-e-'aalii tum ho dukhiyo.n ke vaalii
haq pe qurbaa.n hu.e jo in dulaaro.n kaa sadqa
de-do sarkaar de-deo apne pyaaro.n kaa sadqa
yaa-nabii shabbar kii maadar kaa mujhe sadqa mile
hazrat-e-zainab kii chaadar kaa mujhe sadqa mile
karbalaa bhuuke-pyaaso.n kaa hai tum ko vaasta
yaa-nabii pyaare navaaso.n kaa hai tum ko vaasta
vaasta hasnain kaa har ik valii kaa vaasta
yaa-mohammad aap ko maulaa 'alii kaa vaasta
mai.n na chho.Duu.ngaa jaalii tum ho dukhiyo.n ke vaalii

apne daaman pasaare jo bhii majbuur aayaa
us ne dar se tumhaare aaqaa sab kuchh hai paayaa
ko.ii baat na Taalii tum ho dukhiyo.n ke vaalii
bhiik paate hai.n tum se saare shaahaan-e-'aalam
kyuu.n na aaqaa tumhaarii likhe taa'riif 'purnam'

- Book : Kulliyat-e-Purnam (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.