jab lutf-e-bandagii hai adaa yuu.n navaaz ho
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-بھارت)
jab lutf-e-bandagii hai adaa yuu.n navaaz ho
KHvaaja ke dar pe bhejii jabiin-e-niyaaz ho
KHvaaja hii aa rahe hai.n banaane ke vaaste
phir kyuu.n na mujh ko apne muqaddar pe naaz ho
ab le ke jaa.e.nge ham maqsad yahii.n se ham
maa'luum ho gayaa tumhii banda-navaaz ho
KHvaaja tumhaarii shaan bhii kyaa shaan hai ki tum
bande KHudaa ke ho ke bhii banda-navaaz ho
‘baaqir’ bhii aastaane pe sharf-e-niyaaz hai
us par bhii ik nazar mere banda-navaaz ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.