barguziida banda-e-rahmaa.n 'alii kaa laaDlaa

Saddam Hussain Nazan
MORE BYSaddam Hussain Nazan
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
barguziida banda-e-rahmaa.n 'alii kaa laaDlaa
laKHt-e-qalb-e-saahib-e-qur.aa.n 'alii kaa laaDlaa
diin-e-mahbuub-e-KHudaa me.n taaki aa jaa.e bahaar
karbalaa me.n ho gayaa qurbaa.n 'alii kaa laaDlaa
apne kandho.n par biThaate hai.n rasuul-e-haashmii
sochiye hai kis qadar ziishaa.n 'alii kaa laaDlaa
jaa milaa rabbul-’ulaa se aur rasuul paak se
pa.Dhte-pa.Dhte neze par qur.aa.n 'alii kaa laaDlaa
ranj-o-Gam se chuur hai par sab ko aataa hai nazar
allaah allaah kis qadar farhaa.n 'alii kaa laaDlaa
haalat-e-sajda me.n qurbaa.n arz-e-karbal me.n hu.aa
hazrat-e-bii faatima kii jaa.n 'alii kaa laaDlaa
karbalaa hai naam us kaa nuur-afshaa.n hai jahaa.n
nayyar-e-taabaa.n mah-e-taabaa.n 'alii kaa laaDlaa
jis kii buu mahsuus karte hai.n shahanshaah-e-zaman
hai jinaa.n kaa aisaa ik raihaa.n 'alii kaa laaDlaa
naujavaa.n beTe ke laashe ko uThaa kar god me.n
sabr kaa thaame rahaa daamaa.n 'alii kaa laaDlaa
mujh se 'aasii ko sunaa.egaa ai 'naazaa.n' hashr me.n
dekhnaa tum muzhda-e-Gufraa.n 'alii kaa laaDlaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.