bashar nuur-e-rabbul-ulaa ban ke aayaa
bashar nuur-e-rabbul-ulaa ban ke aayaa
na.e ra.ng se jaa-ba-jaa ban ke aayaa
kahii.n laala-o-gul kahii.n chaa.nd-suuraj
tajalla-e-arz-o-samaa ban ke aayaa
kahii.n ambiyaa ban ke shaaKHe.n dikhaa.e.n
kahii.n suurat-e-auliyaa ban ke aayaa
kabhii shakl-e-muusaa kahii.n shakl-e-iisaa
kabhii laila-e-dilrubaa ban ke aayaa
hai ban.ne biga.Dne me.n kyaa kyaa banaavaT
jo big.Daa na.ii shaan kaa ban ke aayaa
qulir-ruuh min amr-e-rabbii ke naGme
sunaataa hu.aa muqtadaa ban ke aayaa
agar lahar aa.ii banaa shakl-e-gauhar
jo mauj aa ga.ii bulbulaa ban ke aayaa
kiyaa bulbulo.n ko asiir-e-mohabbat
chaman me.n gul-e-KHush-navaa ban ke aayaa
bahut gul khile hai.n magar is chaman me.n
bahaar aa.ii jab mustafaa ban ke aayaa
bane auliyaa ambiyaa sab baraatii
jo duulhaa habiib-e-KHudaa ban ke aayaa
mohabbat kii miiraas 'akbar' ko baKHshii
jo tuu vaaris-e-haq-numaa ban ke aayaa
bashar nuur-e-rabbul-ulaa ban ke aayaa
na.e ra.ng se jaa-ba-jaa ban ke aayaa
kahii.n laala-o-gul kahii.n chaa.nd-suuraj
tajalla-e-arz-o-samaa ban ke aayaa
kahii.n ambiyaa ban ke shaaKHe.n dikhaa.e.n
kahii.n suurat-e-auliyaa ban ke aayaa
kabhii shakl-e-muusaa kahii.n shakl-e-iisaa
kabhii laila-e-dilrubaa ban ke aayaa
hai ban.ne biga.Dne me.n kyaa kyaa banaavaT
jo big.Daa na.ii shaan kaa ban ke aayaa
qulir-ruuh min amr-e-rabbii ke naGme
sunaataa hu.aa muqtadaa ban ke aayaa
agar lahar aa.ii banaa shakl-e-gauhar
jo mauj aa ga.ii bulbulaa ban ke aayaa
kiyaa bulbulo.n ko asiir-e-mohabbat
chaman me.n gul-e-KHush-navaa ban ke aayaa
bahut gul khile hai.n magar is chaman me.n
bahaar aa.ii jab mustafaa ban ke aayaa
bane auliyaa ambiyaa sab baraatii
jo duulhaa habiib-e-KHudaa ban ke aayaa
mohabbat kii miiraas 'akbar' ko baKHshii
jo tuu vaaris-e-haq-numaa ban ke aayaa
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 132)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.