ai mere dariyaa-dil saaqii miir-e-mai-KHaana abdul-haq

Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
Interesting Fact
منقبت درشان صاحب توشہ حضرت عبدالحق ردولوی (ردولی۔ فیض آباد)
ai mere dariyaa-dil saaqii miir-e-mai-KHaana abdul-haq
apne mai-KHvaaro.n kaa sadqa bhar de paimaana abdul-haq
mehr-e-zarra-parvar tum ho har dil me.n ziyaa-gustar tum ho
tum sham.a-e-bazm-e-payambar ho a.alam-e-parvaana abdul-haq
ai murshid-e-kaamil haaqii-e-dii.n ai muhii.uddiin-o-mu.iinuddiin
ai qutub-e-jahaa.n shaiKH-e-a.alam-e-maKHduum-e-zamaana abdul-haq
phirtaa huu.n musiibat kaa maaraa sadmo.n se hai dil paara-paara
tum hii na suno to kaun sune meraa afsaana abdul-haq
jo dar pe tumhaar aataa hai mu.nh-maa.ngii muraade.n paataa hai
'bedam' ke bhii haal-e-zaar pe ho shaahaana abdul-haq

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.