haft-aasmaa.n hai.n farsh-e-ni'aal-e-abul-ola
Interesting Fact
منقبت درشان سرتاج آگرہ حضرت سیدنا امیر ابوالعلا (آگرہ۔ہندوستان)
haft-aasmaa.n hai.n farsh-e-ni'aal-e-abul-ola
allaah re auj-o-jaah-o-jalaal abul-ola
laa.ii sabaa naved-e-visaal-e-abul-ola
kyaa gul khilaa rahaa hai KHayaal-e-abul-ola
taaza rahe KHayaal jamaal-e-abul-ola
phuulaa-phalaa rahe ye nihaal-e-abul-ola
juz yaad-e-dost aur ko.i mashGala nahii.n
dil hai azal se vaqf KHayaal-e-abul-ola
ab kyuu.n siyaah KHaana kahau.n nuur KHaana kau
raushan hai dil me.n sham.a jamaal-e-abul-ola
az maahtaab-e-maahi kisii par chhupaa nahii.n
aa.iina hai jahaan pe haal-e-abul-ola
is justujuu me.n chaak-e-garebaan hai.n sai.nka.Do.n
lekin khulaa na parda-e-haal-e-abul-ola
ko.i samaa sakaa na samaa.ae nigaah mai.n
aa.nkho.n me.n bas rahaa hai jamaal-e-abul-ola
islaam-o-kufr dono.n kau dil se bhulaa chuke
bas ab diigaram ham hai.n aur KHayaal abul-ola
aa.iina-e-bahaar banaa huu.n to kyaa 'ajab
pesh-e-nazar hai husan-o-jamaal-e-abul-ola
har zarra KHaak-e-dar kaa yahaa.n rashk-e-maah hai
taabaa.n hai aaftaab kamaal-e-abul-ola
ye a.alam-e-misaal hai lekin kabhii malik
laayaa na laa-sakegaa misaal-e-abul-ola
dekhii na ho to dekh lo shaan-e-mohammadii
milte hu.e hai.n sab KHatt-o-KHaal-e-abul-ola
is aastaa.n pe aate hii sab mil gayaa hame.n
karte hai.n ab KHudaa se savaal-e-abul-ola
jab dekhiye yahaa.n tar-o-taaza hai naKHl-e-faiz
hai kyaa sadaa-bahaar nihaal-e-abul-ola
bulbul chaman me.n bhuul ga.ii naGma-e-bahaar
yaad aa gayaa jo husn-e-mafaal-e-abul-ola
haa.n al-madad ki kashti-e-dil Duubne ko hai
zor-aazmaa ho dast-e-kamaal-e-abul-ola
hai.n aaj tak jariida-e-a.alam pe yaad-gaar
maqbuul-o-haq-pasand KHisaal-e-abul-ola
'bedam' agar ho chashm-e-haqiiqat to ek hai
ho husn-e-vaarsii ke jamaal-e-abul-ola

- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 398)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.