Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

meraa kaa'ba-e-tamnnaa dar-e-paak-e-mustafaa.ii

Behzad Lakhnavi

merii zindagii kaa haasil usii dar kii jab.ha-saa.ii

meraa zikr yaa mahammad meraa shaGl yaa mahammad

mere dono.n ’aalamo.n me.n hai unhii.n kii ruu-numaa.ii

ye yaqii.n ke marhale kyaa ye gumaa.n ke maa’rke kyaa

milaa jis ko 'ishq-e-ahmad use mil ga.ii KHudaa.ii

zahe 'aalam-e-tasvvur ki jahaa.n pe 'ain-e-haq hai

vahaa.n le chalii hai mujh ko mere baKHt kii rasaa.ii

tere 'ishq ko mubaarak terii ruuh ko mubaarak

are zaa.er-e-madiina dar-e-yaar ke fidaa.ii

ye qadam-qadam tavaajud ye qadam-qadam pe sajde

ye qadam-qadam pe mastii ye qadam-qadam rasaa.ii

rahe ta-ba-hashr yaa-rab mire dil me.n dard-e-ba.thaa

rahe taa-abad salaamat meraa zauq-e-jab.ha-saa.ii

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Lutfullah Khan

Lutfullah Khan

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now