dil me.n tire KHayaal kii daulat liye hu.e

baiThaa huu.n do-jahaan kii daulat liye hu.e
aa ai nasiim-e-kuu-e-madiina idhar bhii aa
pairaahan-e-habiib kii nik.hat liye hu.e
daulat-saraa-e-saaqii-e-kausar pe jibriil
haazir hai.n qudsiyo.n kii jamaa.at liye hu.e
ik ik charaaG bazm-e-risaalat ma.aab kaa
hai nuur-e-aaftaab-e-risaalat liye hu.e
jab se KHayaal-e-qibla-e-qaunain dil me.n hai
har ik nafas hai shaan-e-ibaadat liye hu.e
faiz-e-jamaal-e-maah-e-nubuvvat na pochhiye
hai zarra zarra nuur-e-haqiiqat liye hu.e
chhaa.ii hu.ii haram pe ghaTaa.e.n hai.n nuur kii
kaun aa gayaa ye saaGar-e-vahdat liye hu.e
us dil kii qadr-o-qiimat-o-azmat na pochhiye
jo dil hai un ke dard kii lazzat liye hu.e
sarkaar KHud bulaa ke sune.n ko.ii taaza na.at
dil me.n 'hayaat' huu.n yahii hasrat liye hu.e

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 173)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.