aarzuu chhoTii thii merii par du'aa kuchh aur hai

soch kar mai.n kuchh gayaa thaa par milaa kuchh aur hai
jaa.n ke badle bhii gadaa.ii un kii miltii hai to le
us gadaa.ii kaa yaqiinan hii maza kuchh aur hai
thaam le daaman 'alii kaa dar-badar tuu mat bhaTak
chaahate.n kuchh aur terii Dhuu.nDhtaa kuchh aur hai
haidar-e-karraar bhii hai aur KHudaa kaa sher bhii
suurmaa.o.n me.n 'alii kaa martaba kuchh aur hai
duusre maulaa ko dekhaa rah ga.ii.n aa.nkhe.n khulii.n
KHum ke mimbar par 'alii kaa martaba kuchh aur hai
jab se thaamaa us ne daaman mustafaa kii aal kaa
vo 'ziyaa' kuchh aur thaa aur ye 'ziyaa' kuchh aur hai

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 341)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.