mahaktii hai kyuu.n jab ye puuchhaa havaa se
mahaktii hai kyuu.n jab ye puuchhaa havaa se
kahaa aa rahii huu.n dar-e-mustafaa se
muKHaatab rahaa ek shab jo KHudaa se
usii kaa gadaa huu.n isii kii 'ataa se
mujhe do-jahaa.n me.n faqat ik ishaara
yahaa.n mustafaa se vahaa.n mustafaa se
sar-e-hashr rusvaa.iyo.n se bachaanaa
yahii iltijaa hai habiib-e-KHudaa se
chamak KHaanqaaho.n kii yuu.n hii nahii.n hai
ju.Daa taar un kaa shah-e-ambiyaa se
kahaa jaa.o rab ne vahaa.n se bhii le lo
karam baT rahaa hai dar-e-mustafaa se
'ziyaa' ek tuu hii nahii.n hai jahaa.n me.n
har ik shai hai raushan nabii kii ziyaa se

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 346)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.