Font by Mehr Nastaliq Web

chain milaa to mohe tere dvaare

Dr. Shah Khusro Hussaini

chain milaa to mohe tere dvaare

Dr. Shah Khusro Hussaini

chain milaa to mohe tere dvaare

charno.n me.n charno.n me.n tere

jiivan kii biinaa hai ab tere havaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

saavan barkhaa phuul bahaare.n

dekhuu.n chaa.nd sitaare bhii

suuraj ThanDii chhaa.nv hai sukh hai

rahmat ke pha.nvaare bhii

arz-o-samaa ke kyaa-kyaa hai.n nazzaare

charno.n me.n charno.n me.n tumhaare

o daataa ham tere bhikaarii

darshan ko tere aave

laage naa jiyaa moraa o man-mohii

ko.ii na duniyaa me.n bhaave

rakhiyo bhaagiyo.n ko apne sambhaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

jo daasii chaukhaT ke tere

kaise niraashaa kaise dukhii

jis ke man kaa tuu priitam ho

janm-janm kaa vo hii sakhii

chitvan ke pyaase aa.e priit ke maare

charno.n me.n charno.n me.n tere

jag-jag me.n aakaash pe Dhuu.nDo

aisaa piyaa paave na kahii.n

tujh pe tan-man mai.n vaarii

tuu hii ba.Daa dhanvaan saKHii

tuufaan me.n aa.ndhiy.o.n me.n paay kinaare

charno.n me.n charno.n me.n tere

dhartii 'ambar ke mah-raaja

ko.ii na moraa sansaar me.n

paas bulaa lo mai.n dukhiyaarii

giit sunaa.uu.n tere pyaar me.n

'KHusrav' kii kalpanaa hai o kamlii vaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

chain milaa to mohe tere dvaare

charno.n me.n charno.n me.n tere

jiivan kii biinaa hai ab tere havaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

saavan barkhaa phuul bahaare.n

dekhuu.n chaa.nd sitaare bhii

suuraj ThanDii chhaa.nv hai sukh hai

rahmat ke pha.nvaare bhii

arz-o-samaa ke kyaa-kyaa hai.n nazzaare

charno.n me.n charno.n me.n tumhaare

o daataa ham tere bhikaarii

darshan ko tere aave

laage naa jiyaa moraa o man-mohii

ko.ii na duniyaa me.n bhaave

rakhiyo bhaagiyo.n ko apne sambhaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

jo daasii chaukhaT ke tere

kaise niraashaa kaise dukhii

jis ke man kaa tuu priitam ho

janm-janm kaa vo hii sakhii

chitvan ke pyaase aa.e priit ke maare

charno.n me.n charno.n me.n tere

jag-jag me.n aakaash pe Dhuu.nDo

aisaa piyaa paave na kahii.n

tujh pe tan-man mai.n vaarii

tuu hii ba.Daa dhanvaan saKHii

tuufaan me.n aa.ndhiy.o.n me.n paay kinaare

charno.n me.n charno.n me.n tere

dhartii 'ambar ke mah-raaja

ko.ii na moraa sansaar me.n

paas bulaa lo mai.n dukhiyaarii

giit sunaa.uu.n tere pyaar me.n

'KHusrav' kii kalpanaa hai o kamlii vaale

charno.n me.n charno.n me.n tere

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now