dar-e-vaaris se yuu.n vaabastagii hai
dar-e-vaaris se yuu.n vaabastagii hai
jabiin-e-shauq vaqf-e-bandagii hai
karam se hai shah-e-vaaris tumhaar
hamaare ghar me.n jo bhii raushnii hai
karaamat ye bhii hai vaaris alii kii
zamii.n devaa kii bilkul sandalii hai
rakhaa tum ne bhram meraa hamesha
mujhe haasil hamesha sarKHushii hai
inaayat se terii paa.ii ye chaukhaT
ki haasil zindagii kaa bas yahii hai
tufail-e-vaaris-e-paak aaj haasil
'kabiir' vaarsii ko sarKHushii hai
dar-e-vaaris se yuu.n vaabastagii hai
jabiin-e-shauq vaqf-e-bandagii hai
karam se hai shah-e-vaaris tumhaar
hamaare ghar me.n jo bhii raushnii hai
karaamat ye bhii hai vaaris alii kii
zamii.n devaa kii bilkul sandalii hai
rakhaa tum ne bhram meraa hamesha
mujhe haasil hamesha sarKHushii hai
inaayat se terii paa.ii ye chaukhaT
ki haasil zindagii kaa bas yahii hai
tufail-e-vaaris-e-paak aaj haasil
'kabiir' vaarsii ko sarKHushii hai
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 145)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.