Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bahut mahrūm hai vo jo palaT kar dar se jaataa hai

Amjad Rabbani

KHudaa ke ghar kaa rasta mustafaa ke ghar se jaataa hai

adab ma.aluum hai jis ko madiine kii zamii.n teraa

ba-zaahir paa.nv se chaltaa hai lekin sar se jaataa hai

halaakat ne diyaa namruud kii ye daras duniyaa ko

nabii ke saamne aa.e to phir machchhar se jaataa hai

zabaa.n khole jahaa.n mast sanaa-e-mustafaa ho kar

hisaar-e-dast buu-jahlii vahii.n ka.nkar se jaataa hai

huzuur us raah par mahv-e-KHiraamaa.n hai.n shab-e-asraa

jahaa.n jibriil bhii jaa.e to baal-o-par se jaataa hai

use detii hai 'izzat jhuk ke mehraab-e-madiina bhii

ko.ii jab ban ke maulaa KHam tire mimbar se jaataa hai

ko.ii ham-mashrab 'ishq-e-nabii jab paas se jaa.e

to 'amjad' rah ke baahar vo mire andar se jaataa hai

Source :
  • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 37)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now