Sufinama

shaan valiyo.n kii judaa hai martaba kuchh aur hai

Amjad Rabbani

MORE BYAmjad Rabbani

    shaan valiyo.n kii judaa hai martaba kuchh aur hai

    haa.n magar ’izz-o-vaqaar-e-murtazaa kuchh aur hai

    jaan-e-'aalam hai.n nabii aur hai.n ’alii jaan-e-nabii

    ye bhii to maulaa.ii hai samjhaa gayaa kuchh aur hai

    ek Tuk.Daa hai dar-e-maulaa kaa saarii 'umr ko

    mil gayaa jis ko na phir us ne kahaa kuchh aur hai

    baa-e-bismillaah 'alii hai.n puuraa bismillaah nahii.n

    haa.n magar us kuchh me.n kuchh kaa falsafa kuchh aur hai

    kuchh me.n kyaa kuchh hai ye kyaa kuchh kuchh samajh paa.e jo kuchh

    phir to us kuchh ko unhe.n kuchh ne kahaa kuchh aur hai

    mushkilo.n me.n baarhaa ehsaas ye 'amjad' hu.aa

    jadd-e-amjad se hamaaraa raabta kuchh aur hai

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 45)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now