morii sudh-budh bisrii ai sakhiyo mai.n bol rahii KHvaaja KHvaaja

Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
morii sudh-budh bisrii ai sakhiyo mai.n bol rahii KHvaaja KHvaaja
more man maa baso 'usmaa.n kaa ku.nvar raT mohe lagii KHvaaja KHvaaja
puuchhaa na kisii ne haal miraa na raah bataa.ii sanjar kii
ik dard liye bastii bastii mai.n kahtii bhirii KHvaaja KHvaaja
naiyaa hai bha.nvar me.n KHvaaja piyaa patvaar chhuTe ghabraa.e jiyaa
aa bayyaa.n paka.D mohe paar lagaa mai.n Duub rahii KHvaaja KHvaaja
jogan huu.n torii rakh laaj morii bulvaa le mohe apnii nagrii
din rain pukaare jaan morii valiyan ke valii KHvaaja KHvaaja
kar mo pe dayaa yaa KHvaaja piyaa dikhlaa de mohe sundar mukh.Daa

tuu maan 'fanaa' kii baat sakhii ban jaa.egii big.Dii baat sakhii
achchhaa hai vaziifa dekh yahii kah tuu bhii sakhii KHvaaja KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.