jamaal-e-haidarii aur aks-e-mustafaa huu.n mai.n

kahaa husain ne dil band-e-faatima huu.n mai.n
jhukaa hai aur na jhukegaa sar-e-husain yaziid
haiñ baabaa mere alii bachcha sher kaa huu.n mai.n
ye zulm-o-jabar tere kyaa bigaa.D le.nge meraa
havaas hosh me.n aakar samajh kar kyaa huu.n mai.n
laraz uThaa dar-e-KHaibar bhii dekh kar jis ko
usii kaa laal huu.n us kaa hii laaDlaa huu.n mai.n
sitam navaaso.n pe kalima labo.n pe naanaa kaa
yaziid kyaa teraa hogaa ye sochtaa huu.n mai.n
sab karam mere vaaris kaa baa-KHudaa hai 'faraaz'
to aaj hazrat-e-husain tak rasaa huu.n mai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.